Wednesday, July 29, 2015

DAASTAAN-E-HARF



Harek daastaan-e-harf mein
sulagti hai shola-e-nafas
Na jane kis aag me, bataur
Jalta hai dil-o-dimag

Kaun wahan sulgaata hai aag
dil dhadhakta hai dhuan, dhuan;
naa raat yahan sasti hai
naa din taron se sazti hai

Kis maujua junoon mein
Phirta hai dar-ba-dar
naa lapat raas aati hai
naa aahat teri kadmo ki sunai deti hai

Kaun be-daag yahan
Paake-kalaam padhata hai
Harek zirah-uff mein
teri ah nazar aati hai


...........................
Harf = Alphabet
Nafas = Breath
Bataur = without a method
zirah = Discussion
Sayahi = Ink

No comments: