Sunday, March 31, 2013

NUMAIS

Tamam bandise
Tod kar, bhatakta raha
Gumsuda ki talas mein

Us pal ka intezaar
Tista raha
Khune jigar mein

Na jane kaun
Pukarta hai wahan
Baar baar

Ankahe laphjon se
Ek tak jhankta
Kaun hai wahan dekhta

Kab talak
Raunak nasib ayegi
Kya jinda rahun marne talak

Esi ek sans ki khsboo ne
Bacha rakhha hai
Jisme pharos hamara

Warna kab se
Rakh rakha hai mujhe
Uski Numais mein

No comments: