Thursday, January 3, 2013

MAUT KI NAJDIKIYAN

Unhen bhi to nahi malum
Ki, tapakte the neer
To khun paani ban jata tha

Kya kabhi maine, kabhi bhi
Khwahish samne rakhi thi, bhala

Use kya malum ki
Uske hilne se
Meri jaan par ban aati hai

En mauto ne jitna bhi
Rulaya ho mujhe
Buto se kabhi apna
Haal punchenge zara

Enhi shabdo me phans kar
Kabhi rundhe gale se
Pukara jayega mujhe khabhi

Lautegi phir wohi nadani
Zinda rahte kaphan
Aur marte huye
Aag mein paani

Unhen bhi to nahi malum
Ki pharpharane ki aahat
Ko nazdikiyan maut bana deti hai

No comments: