Thursday, March 20, 2014

TAMMANA


Maujaye gum se kya sikwa
Aur kya sikayat
Kyun aankhe saham se gayi hai
Baahri aasma se
Ab to wo baat hin na rahi
Jin baaton se saam
Gujar jaya karti thi
chuapaal mein bandobasta
Kabhi shaam thahar jaya karti thi
Dada aur Dadi ki kahani sun
Ruhe tammanna roz labroz hoti
Phir to kya taren aur kya tarannum
Raat me bhi shaba-e-gulab roshana hoti

Maujuye gum se kya sikwa
Aur kya sikayat
Shahar me ab to khake but bhi
Hawa nahi deti
Phursat me ek gaz jamin bhi nahi milti
Raqeebon  ki dua ab qabar par
Didar hoti nahi naada
Khauf-e-Jahan phalak mein
Jarra-jarra jhankti hai tammana yahan
Maujuye gum se kya sikwa
Aur kya sikayat ...

No comments: